Aadaab
Sarwar saaheb koe meri hoslahafzaae karenah kare aap ki mohabbat hi mere
liye kaafe hai.aap ke elaawah agar doosre ahbaab meri mehnat ki qadr karte hai,n to mai,n unka bhi buhat mamnoon hoo,n. mai,n ne to yeh soch kar
kaghaz aur qalam ka saath nibha raha hoo,n keh ilm ki rooshni se doosroo,n ko
faaeydah pohchana hi insaaneyat hai.F/A ka taalib ilm kar bhi kyaa sakta hai. jahaa,n tak us ka sha,oo,r hoga wahaa,n tak hi apne ahbaab ko kuch nah kuch
faraaham kar sake ga. hamaare gaa,oo,n mai,n buhat kam log hai,n jo adabi zoaq rakhte hai,n .lekin wo bhi aise jo apni kutab se kisi doosre ko istafaadah karne ka moqah bhi nahi dete .issi baat ko madd-e-nazar rakhte huye mai,n ne yeh faisalah kiya hai keh jahaan tak mujh se ho sake adabi zoaq rakhne wale logoo,n ki khidmat karoo,n .mujhe yeh jazbah apne gaa,oo,n ki aik azim shakh,siyat(Janab Mukhtyaar Ahmad Saaqi Gujrati..jo punjabi ke mash,hoor-o-mahroof shair thay aur unko taqreeban 1997 mai,n unke nahtiya majmohay par hakoomat-e-Pakistan ki taraf se adabi awaard bhi mila tha)se mila hai jin ka ab intaqaal ho chuka lekin mere liye wo aaj bhi zindah hai,n kouyk(Rehte hai,n sadaa ehl-e-nazar mit,te nahi hai,n).aaj mai,n jo kuch bhi hoo,n unki shakheyat se mutaasar hone ki wajah se hoo,n.
Sarwar saaheb bas aap mere liye dua kar diya karai,n .
aur tehreer mai,n jahaan kahai,n koe ghalati nazar
aaye uski nashaandahi kar diya karain.mera ilm aap ke
saamne hai.
syed khadim hussain shah gillani
deona mandi gujrat Pakistan