Urdu Anjuman
 
*
Welcome, Guest. Please login or register. September 09, 2010, 12:51:37 am


Login with username, password and session length


Pages: [1]   Go Down
  Print  
Author Topic: Zindagi  (Read 1190 times)
0 Members and 1 Guest are viewing this topic.
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« on: January 22, 2008, 04:21:42 pm »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
Zarqa Mufti
Naazim-o-Mudeer
******

Karma: +8/-0
Offline Offline

Posts: 4404



WWW
« Reply #1 on: January 23, 2008, 06:17:38 am »

Maham jii
urdu anjuman meN khush amdeed
aap ka gumaan haqeeqat par mabni hai
likhti rahiye
aur khush rahiye
wasalam
zarqa
Logged
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #2 on: January 24, 2008, 05:56:57 am »

Navazish mohtarama ,

bhala laga jaan kar ke ye gumaan apko haqeeqat pe mabni nazar aya


Thanx hazaroun Gulistaan ,


Due Respects
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
manu1979
Adab Aashnaa
*

Karma: +1/-0
Offline Offline

Posts: 38


« Reply #3 on: January 24, 2008, 06:55:19 am »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................


bahoot khob maham jee aap ki yeh kaavish behad pasand aayii,aur kuchh pasandaa ayaa ho to aap ki urduman men haajrii,aap ko yaha dekh kar bahoot khushii huii,aur yakeen maaniye yun tasalli huii ki koii apna khoyaa hua dost waapis mil gaya ho.

yunhee aate rahiyega
aap ke agle kalaam ka intzaar karte hue
khudaa-haafis
apna khayal rakhe
regards
manu
Logged
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #4 on: January 24, 2008, 06:58:11 am »

 SmileyAdaab arz hei Hazrat

ap tou sada hee buahat khulus buahat pyar se navazte aye hein is adnaa see Maham aur uske arzan see tuk bandi ko


ab koi kiya kahe ap se

siwa iske

ke buahat buaht shukriya


 Smiley

Mehaz apki zarah navazi hazur ,


Thanx hazaroun gulistan ,
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
zaamin
Adab Aashnaa
*

Karma: +1/-0
Offline Offline

Posts: 103


« Reply #5 on: January 28, 2008, 02:10:12 pm »

mohtarama maaham saahiba:
bahut dinon ba'ad aap se mukhaatib hone ka ittefaaq huwaa,ummid ke aap aur ki family sehat aur massarat men honge.
aap ki yeh khoobsoorat nezm ,ghumaan ho rahaa hai,ki pehle bhii parhii hai
aur bahut khoobsoorat alfaaz men dil ki kaifiiaat ko bayaan karti hai.
aur yakiinan aap ka likhne ke baare men ghumaan,bewajah hargiz nahiin hai.
meri aor se is khoobsoorat kalaam pe daad qabool farmaayen

mukhlis

zaamin
Logged
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #6 on: January 28, 2008, 03:04:57 pm »

adaab arz hei hazrat ,

umeed hie mizaaj bakher hon ge

baad mudat apse mil kar bhala laga dilko


apki daad aaj bhi bauhat qeemte maham ke liye

Thanx hazaroun gulistan , sir

Due Respects !
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
Zia Baloch
Naazim-o-Musheer
******

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 772



« Reply #7 on: January 28, 2008, 04:01:43 pm »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................


Maaham jee, aadaab arz hai !

kyaa kehney janaab ! aap ka Khayaal aaj bhii utnaa hii dilkash hai ! vuhii shiddat-e-jazbah ! vuhii falsafa-e-Gham ! vuhi jaado bharaa andaaz ! aap ke Khayaalaat seedhe dil meiN utar jaate haiN ! qaarii ko apnii seHr meiN mukammal taur par jhakaR letii haiN aap kii taHreereN ! Zindagii kii baat bhii aap ne Khoob kahii ! apne do taazah tareen ash'aar yaad aaye ! aek Ghazal meiN jald hii post karne vaalaa hooN ! fil-Haal aap ki nazr do ash'aar !

zindagii aur kuchh naheeN pyaare !
maut ka ik HaseeN bahaanaa hai !
.............................................................

zindagii aek vahm hai shaayad
aaj kal varna kon jeetaa hai !

dosre miSra ko aap yuuN bhii keh saktii haiN k

zindagii aek vahm hai shaayad !
aaj kal varna kon ZINDAH hai ?

aap ka maddaaH !

Zia Baloch
Logged

waQaar
Adab Shinaas
**

Karma: +2/-0
Offline Offline

Posts: 256


« Reply #8 on: February 08, 2008, 05:00:22 pm »

aapi,

aap ki teHreer aajtak waisii hi hay. paRH~ ker bataa sakta hooN keh kisnay likh~ii hay. aur mujh~ay laga keh meN Yeh paRh~ chuka hooN. nah-jaanay kYuuN!

aik uMdah magar dil gudaaz kernay waala andaaz.

waQaar Smiley
Logged
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #9 on: January 03, 2010, 01:24:45 am »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................


Maaham jee, aadaab arz hai !

kyaa kehney janaab ! aap ka Khayaal aaj bhii utnaa hii dilkash hai ! vuhii shiddat-e-jazbah ! vuhii falsafa-e-Gham ! vuhi jaado bharaa andaaz ! aap ke Khayaalaat seedhe dil meiN utar jaate haiN ! qaarii ko apnii seHr meiN mukammal taur par jhakaR letii haiN aap kii taHreereN ! Zindagii kii baat bhii aap ne Khoob kahii ! apne do taazah tareen ash'aar yaad aaye ! aek Ghazal meiN jald hii post karne vaalaa hooN ! fil-Haal aap ki nazr do ash'aar !

zindagii aur kuchh naheeN pyaare !
maut ka ik HaseeN bahaanaa hai !
.............................................................

zindagii aek vahm hai shaayad
aaj kal varna kon jeetaa hai !

dosre miSra ko aap yuuN bhii keh saktii haiN k

zindagii aek vahm hai shaayad !
aaj kal varna kon ZINDAH hai ?

aap ka maddaaH !

Zia Baloch


zia , apko sada hee apni adnaa kavishon pe bedaregh daad dete dekha , ye mehaz apki faraghdilli hei warna maham apni aur in tehreeron ki wuqat se khub waaqif hei....
sach tou ye hei ke zindagi bas yehee hei aur kuch nahi ..........

bauhat shukriya zia sahab...
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
Aamir Abbas
Naazim
*****

Karma: +9/-0
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 1665


« Reply #10 on: January 03, 2010, 11:22:55 am »

Maham jee, aadaab.
aap kee yeh taKHleeq bhee aaj nazar se guzree. itne saare aHbaab is baat par musir haiN keh aap achhaa likhtee haiN, to yaqeenan ko`ee baat zaroor hai aap kee teHreeroN meiN...

mujhe aap kee teHreeroN meiN besaaKHtagee, eHsaasaat kee shiddat, jazboN kee sachchaa`ee aur aisee hee deegar KHoobiyaaN saaf nazar aatee haiN. is taKHleeq par meree naacheez daad qubool keejiye.

ek baat, jis kee taraf thoRee see tavajjuh darkaar hai, voh nazm kee naGHmagee hai. agar aap apnee nazm meiN ravaanee aur naGHmagee le aa`eiN to aap kee nazmeiN bilaashubah har dil meiN utar jaane kee salaaHiyyat rakhtee haiN. aisaa meraa KHayaal hai so aap kaa is se muttafiq honaa hargiz zarooree naheeN hai.

ek baar phir KHoobsoorat nazm par daad qubool keejiye.

muKHlis
Aamir Abbas
Logged

yeh tiraa hee karam hai :Aamir: par  -x-  yeh tiree shaa'iree hai, achhee hai
http://www.sirfurdu.com/poetry
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #11 on: January 10, 2010, 02:56:31 pm »

Aamir sahab,

kya kahe maham is karamfarmayee pur ........

zarahe ko aaftaab banana koi aap se aap jaise aalazarf afraad se seekhe ke jo in murda  lafzon mein hauslaafzayee ki ruh phunk dete hein aur ye bejaan tehreerain maham ki sans lene lagtee hein ........

Hum apni aur in tehreeron ki wuqat se khub waqif hein hazrat..........aap ne jo islaah ki vo beshak sach hei.............khuda kare ke kabhi aisa kuch likh sakae maham jo is mehfil ke aur ap se sukhanshanason ke shayaan e shaan ho,

khush rahayae ....
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
Imran Aslam
Adab Aashnaa
*

Karma: +0/-0
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 119


« Reply #12 on: February 08, 2010, 03:59:38 am »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................



Mashallah Maham ji agar yeh aap ka guman hai too phir haqeeqat kia hoo gi. Zabrdst likha hai.

Logged
Farrukh Nawaz
Adab Aashnaa
*

Karma: +1/-0
Offline Offline

Gender: Male
Posts: 154



« Reply #13 on: March 04, 2010, 01:09:39 pm »

Aik achi kaawish aor gumaan per dheeron daad,
likhti raha karain.........
 
Logged

Farrukh Nawaz
itsme96@gmail.com

Pehlay Saanson May Gulaabon Ki Mehak Thi Farrukh
Ab  Meray  Shehar  Se   Barood  Ki  Bo  Aati  Hai
Maham Azmi
Adab Fehm
****

Karma: +3/-0
Offline Offline

Gender: Female
Posts: 1457



« Reply #14 on: May 16, 2010, 10:36:27 pm »



Adaab arz hei ,

Gumaan hei bewajhe hee hamae ke hum likh sakte hein

so is gumaan ko ap tak pohancha rahe hein

Eik adnaa see kavish hamaree


apkee basaraton kee nazr




Na raahon men ujaala na manzil ka nishaan
na sang humsafar koi , na sar pe saiybaan
hud'e nigaah talak bass tanhaiyaan
qadam qadam larkharaa rahee hei
lamha lamha sata rahee hie
dilko bekhaataa dukha rahee hei
dum bhar ko sans lene dey aiy zindagee
jaanae tu kahan liyae jaa rahee hei.................



Mashallah Maham ji agar yeh aap ka guman hai too phir haqeeqat kia hoo gi. Zabrdst likha hai.



mehaz apka husn e nazar hazur ke ap ne is ko daad se navaaza....
Logged

ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
Pages: [1]   Go Up
  Print  
 
Jump to:  

Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.11 | SMF © 2006-2009, Simple Machines LLC

Valid XHTML 1.0! Valid CSS! Dilber MC Theme by HarzeM