ye khoobsoorat, ilm afroz mazmoon parh kar be ikhtiyaar dil waah kar uthhaa...
yaqin kijiye....aaj barson baad lagaa k baa baa jan marhoom ne faarsi ki calass lagaa rakhhi hai aour bazore shamshir ham jese naa ahlon ko iqbaaliyaat parhaane ki sai-e- naakaam kar rahe hoon
lakin aik farq behad waazeh rahaa
k is class mein ham zehni toar par na siraf haazir rahe, balke andaaze bayaan ki daad bhi dete rahe.
Naeem saaheb, aap yaqinan mubarak baad k mustahiq tahrte hain...aour hameiN umid hai k aap aaeindha bhi aysi hi kaawishoN se nawaazte raheiN ge...
lage haathon aik farmaaish bhi karti chaloon
agar , waqt muyassar aaye toa
Molana Rumi k kalaam se bhi kuch muntakhab kijiye gaa
bohat shukriyah