Suhail bhai
Ilm-ul-arooz per aap ka mazmoon dekha
bilashuba aap ne buhat mehnat ki hai
maiN sirf apni mushkilaat ke hawale se baat karoN gi kyoNk maiN is ilm se bilkul nabalad thee
is liye jab kabhee ilm-ul-arooz ke hawale se koi mazmoon dekhti to us meN mushkil istalahaat se jald hi bore ho jaati
Taqtee ke asool bhee maaloom na the
sab se pehlay Aik ghair maaroof site per janab Abdullah Nazir saheb ke mazameen dekhay aur Phir Mohtaram Sarwar saheb ne rahnumaaii ki
mera khayal hai keh mazmoon ki zaban aasaan honi chahiye aur mushkil istalahaat ke mutbadal aasaan naam tajweez kiyye jaane chahiyeN
aur mazmoon bilkul sada urdu meN hona chahiye taak hamari english zada naujawan nasl is de mustafeed ho sake
aap ke mazmoon ke pehle 2 safhaat buhat achche aur aam feham heN aur in meN imcaal se baat waazeh karne ki koshish bhee kii gayyii hai
baaqi safhaat nisbatan muskil heN aur an meN micaaleN nahiN dii gayyiiN
umeed hai aap meri kissi baat ka bura nahiN manayeN ge
regards
zmufti
Zarqa behn assalam o alaekum
aap ki raey kay nateejay maiN meiN nay mazmun maiN kuch tabdeeli ker di hay.
darasal pehlay maiN nay tables aakhir maiN rekhay thay aur mazmun shru maiN us say shaed miCaloN ki kami ka ziada ehsaas ho rah ho. ab maiN nay her mozu kay saath hi us ka mutaaliqa table day dia hay.
rehi yeh baat keh taqtee ki her behr kay saath miCaleN dena to woh meray is mazmun ka maqsed nahiN kiunkeh woh kaam mashaAllah sarwaer saaheb pehlay hi bohat achay tereeqay say seranjaam day chukay haiN. mera maqsed sirf ilm e arooz ki kuch ehm istelaahat aur usuloN ko yakja kerna hay.
is tabdeeli say aap ko kuch behteri nazer aati hay to bataiay, ya pehli suret hi behter thi?
wassalam
sohail malik